Aftab Shakeel

mausam-e-hijr mein zaKHmon se lada rahta hai

Aftab Shakeel

1990
mausam-e-hijr meñ zaḳhmoñ se ladā rahtā hai
dil vo paudhā ke jo patjhaḌ meñ harā rahtā hai
bas ye ik baat mujhe laatī hai nazdīk tire
tū bhī to merī tarah ḳhud se ḳhafā rahtā hai
tabsira itnā hī kaafī hai mohabbat ke liye
muḳhtasar saude meñ nuqsān baḌā rahtā hai
ham se behtar hai muqaddar meñ siyāh patthar jo
ban ke surmā tirī palkoñ se lagā rahtā hai
kyā qasīda tire ruḳhsār ke til kā yuuñ samajh
ik nagīna hai añgūThī meñ jaḌā rahtā hai
dar-o-dīvār sisakte hai kamī par terī
ghar meñ ḳhāmoshī kā ik shor bapā rahtā hai
us kī āñkheñ hai yā ābād kueñ hai 'āfī'
āb-e-ġham jin meñ musalsal hī bharā rahtā hai
Top Urdushayar.com