Aftab Shakeel

collage ka dalan nahin hai pyare zalim duniya hai

Aftab Shakeel

1990
collage kā dālān nahīñ hai pyāre zālim duniyā hai
aur yahāñ sach bolne vaalā sach meñ sab se jhūTā hai
maiñ tere dīdār kī ḳhātir aa jaatā huuñ ḳhvāboñ tak
varna is lazzat ke alāva nīñdoñ meñ kyā rakkhā hai
chamkīle kapḌoñ se parkhā mat kar insānī lahje
gahre kuueñ meñ ujlā paanī kharā bhī ho saktā hai
va.ada kar ai dilkash laḌkī vasl se le kar hijr talak
rishta chāhe jaisā bhī ho ḳharcha apnā apnā hai
maiñ tere shikve bhī jānāñ bilkul aise suntā huuñ
jaise bachpan meñ koī bachcha ġhaur se qisse suntā hai
mere ḳhafā hone par us kā vo ulTā filmī jumla
pyaar se Dar nahīñ lagtā sāhab thappaḌ se Dar lagtā hai
jab logo ne saudā.ī kī laash utārī tab bole
ye to zinda mar hī chukā thā pañkhe se kyuuñ laTkā hai
maiñ is Dar se coffē piine tere saath nahīñ jaatā
tujh ko to coffē ke bahāne mujh se laḌnā hotā hai
mujh ko bone the dil meñ aur kisī ke ġham 'āfī'
lekin dil kī surḳhī zamīñ par ab tak us kā qabza hai
Top Urdushayar.com