tirī chashm-e-tar meñ ravāñ-davāñ ġham-e-ishq kā jo malāl hai
ye hī ibtidā-e-firāq hai ye hī intihā-e-visāl hai
hai qarīb phir bhī hai ajnabī tū idhar nahīñ maiñ udhar nahīñ
kisī raah ke haiñ do samt ham maiñ junūb huuñ tū shumāl hai
mirī hālatoñ meñ nihāñ haiñ ab tirī justujū kī ḳharābiyāñ
na maiñ ġham-zada na maiñ shādmāñ mirā haal bhī koī haal hai
tū sitam kare to ināyateñ maiñ gilā karūñ to shikāyateñ
tirā har suḳhan vahī arsh kī merā bolnā bhī muhāl hai
vo burā kahe mujhe rāt-din ye razā hai us ke mizāj kī
use 'āfī' maiñ bhī burā kahūñ kahāñ mujh meñ itnī majāl hai