Iqbal Tariq

panja-e-zist mein phansa panchhi

Iqbal Tariq

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1962
panja-e-zīst meñ phañsā panchhī
phaḌ.phaḌāte hue marā panchhī
par nikalte hī ik uḌaan bharī
aur phir ḳhvāb ho gayā panchhī
nā-tavāñ hai abhī vajūd tirā
phir muḳhālif bhī hai havā panchhī
phir palaT kar kabhī nahīñ aayā
qaid se ho gayā rihā panchhī
jā duā.eñ haiñ tere saath mirī
ab muhāfiz tirā ḳhudā panchhī
jaane kab jism kā qafas TuuTe
aur uḌ jaa.e ruuh kā panchhī
Top Urdushayar.com