darūn zaat kā manzar zamāne par nahīñ kholā
basar ik raat karnī hai abhī bistar nahīñ kholā
musāfir huuñ maiñ bhūkā huuñ sadā.eñ diiñ bahut lekin
darīche khol kar dekhe kisī ne ghar nahīñ kholā
maiñ tujh se māñgtā huuñ is liye maulā niDar ho kar
ki jab māñgā mire a.amāl kā daftar nahīñ kholā
yahāñ par hū kā aalam hai yahāñ aaseb baste haiñ
muqaffal hai ka.ī barsoñ se dil kā dar nahīñ kholā
tamāshā ban gayā āzād ho kar sab kī nazroñ meñ
qafas kholā magar sayyād tū ne par nahīñ kholā
pas-e-dīvār terī yaad meñ ro.e bahut lekin
sar-e-bāzār ham ne yaar apnā sar nahīñ kholā