ham aa.ine meñ javānī talāsh karte rahe
mohabbatoñ kī kahānī talāsh karte rahe
hamāre dil pe ajab iztirāb taarī rahā
nazar nazar meñ kahānī talāsh karte rahe
shu.ūr maazī ke karb-o-balā meñ uljhā rahā
sharāb ham bhī purānī talāsh karte rahe
hamāre azm kī buniyād kitnī gahrī thī
vo ik ghaḌī thī suhānī talāsh karte rahe
nasīhatoñ kā asar ham pe ḳhaak bhī na huā
kisī kī baat na maanī talāsh karte rahe
tire firāq meñ ronā bahut zarūrī thā
ham apnī aañkh meñ paanī talāsh karte rahe
tumhāre qurb ke mausam kidhar ga.e 'tāriq'
kidhar ga.ī vo javānī talāsh karte rahe