Zafar Anwar

sar mein sauda bhi wahi kucha-e-qatil bhi wahi

Zafar Anwar

sar meñ saudā bhī vahī kūcha-e-qātil bhī vahī
raqs-e-bismil bhī vahī shor-e-salāsil bhī vahī
baat jab hai ki har ik phuul ko yaksāñ samjho
sab kā āmeza vahī aab vahī gil bhī vahī
Duub jaatā hai jahāñ Dūbnā hotā hai jise
varna pairāk ko dariyā vahī sāhil bhī vahī
dekhnā chāho to zaḳhmoñ kā charāġhāñ har-samt
mahfil-e-ġhair vahī anjuman-e-dil bhī vahī
kaise mumkin hai ki qātil hī masīhā ho jaa.e
us kī nīyat bhī vahī dāva-e-bātil bhī vahī
tum samajhte nahīñ 'anvar' to ḳhatā kis kī hai
raah hai roz-e-azal se vahī manzil bhī vahī
Top Urdushayar.com