dil-lagī aur chiiz hotī hai
dilbarī aur chiiz hotī hai
rasm hai yuuñ muānqa karnā
dostī aur chiiz hotī hai
bā-vazū huuñ maiñ qibla-rū bhī magar
bandagī aur chiiz hotī hai
in ujāloñ ko raushnī na kaho
raushnī aur chiiz hotī hai
ham to lāsheñ haiñ saañs letī huī
zindagī aur chiiz hotī hai
harf-dar-harf dard haiñ baabā
shā.irī aur chiiz hotī hai
bandisheñ aur chiiz haiñ 'tāriq'
shā.irī aur chiiz hotī hai