vatan se duur ai pyāre parinde
pareshāñ-hāl dukhiyāre parinde
zarūrat ke qafas meñ qaid haiñ sab
ḳhushī se dard ke maare parinde
talāsh-e-rizq meñ nikle gharoñ se
sahar-dam aañkh ke taare parinde
uḌe apne dukhoñ kā bojh Dhone
misāl-e-man thake-hāre parinde
hare sahrā-e-chashm un ke raheñge
bahut ro.e haiñ bechāre parinde
faqat ham hī nahīñ tāriq yahāñ par
safar meñ haiñ bahut saare parinde