Iqbal Tariq

sun mere dil ki zara aawaz dost

Iqbal Tariq

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1962
sun mire dil kī zarā āvāz dost
ai mire mohsin mire hamrāz dost
dil meñ hai ik vahshat-e-karb-o-balā
tū mire siine meñ bajtā saaz dost
jo tapish sūraj kī sah sakte nahīñ
vo kiyā karte nahīñ parvāz dost
dard sahne meñ jinheñ lazzat milī
pā sake vo log hī e.ajāz dost
zindagī bhar jo na bhar paa.e kabhī
baḳhsh tū is zaḳhm kā e.azāz dost
kyā ḳhulūs-e-ādamiyat hai yahī
zindagī kā hai yahī andāz dost
kyā batā.eñ rāz-e-dil ab ham tujhe
dil se kab chhuptā hai koī raaz dost
maut hai va.ada vafā karne kā naam
ik hayāt-e-nau kā hai āġhāz dost
ḳhvāb hai 'tāriq' ḳhayāl-e-zindagī
pyaas kā sahrā tirī āvāz dost
Top Urdushayar.com