Iqbal Tariq

KHwab ho KHwab mein aate ho chale jate ho

Iqbal Tariq

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1962
ḳhvāb ho ḳhvāb meñ aate ho chale jaate ho
diid kā jaam luñDhāte ho chale jaate ho
kisī ummīd pe duniyā meñ mujhe zinda rakho
aate ho aas bañdhāte ho chale jaate ho
merī āñkhoñ meñ jo lāsha hai mire ḳhvāboñ kā
is pe rote ho rulāte ho chale jaate ho
qissa-e-dard kisī taur na bhūle mujh ko
roz aate ho sunāte ho chale jaate ho
kyuuñ mirī āñkhoñ meñ har roz na.e aas ke phuul
dosto aa ke khilāte ho chale jaate ho
mere zaḳhmoñ ke liye laao naañ marham bhī kabhī
in pe bas jashn manāte ho chale jaate ho
raah bhūle na koī dasht kā raahī 'tāriq'
is liye diip jalāte ho chale jaate ho
Top Urdushayar.com