Iqbal Tariq

aur duniya mein humne kya dekha

Iqbal Tariq

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1962
aur duniyā meñ ham ne kyā dekhā
sirf terā hī rāsta dekhā
us ne sūraj se chaar kiiñ āñkheñ
jis ne manzar thā raat kā dekhā
siskiyāñ chāñd kī sunīñ ham ne
jab sitāroñ ko TūTtā dekhā
mere dāman meñ pyaas kitnī thī
maiñ ne dariyā kā rāsta dekhā
husn dekhā to uñgliyāñ kāTīñ
kyā kareñge agar ḳhudā dekhā
har shikan phuuT phuuT kar roī
raat phir ḳhvāb-e-karbalā dekhā
aks apnā dhuāñ dhuāñ paayā
aaj 'tāriq' jab aa.ina dekhā
Top Urdushayar.com