kanval Dibaivi

tajjub ye nahin hai gham ke maron ko na chain aaya

kanval Dibaivi

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1919-1994
ta.ajjub ye nahīñ hai ġham ke māroñ ko na chain aayā
taḌapnā dekh kar merā sitāroñ ko na chain aayā
baḌhī be-tābi-e-dil jab to bahne hī lage aañsū
mire ham-rāh in pinhāñ sitāroñ ko na chain aayā
rahe gardish meñ saarī raat merī be-qarārī par
baḌe hamdard nikle chāñd tāroñ ko na chain aayā
hamāre āshiyāñ tak baat rah jaatī to achchhā thā
jalā jab tak na sab gulshan sharāroñ ko na chain aayā
koī be-ḳhud huā be-tāb ho kar rah gayā koī
naqāb-e-husn uThne par hazāroñ ko na chain aayā
zamāne ke taġhayyur ne kiyā barbād gulshan ko
ḳhizāoñ ko na chain aayā bahāroñ ko na chain aayā
thapeḌe un ko bhī khāne paḌe amvāj tūfāñ ke
mirī kashtī ke baa.is hī kināroñ ko na chain aayā
ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ ġham-e-uqbā ġham-e-duniyā
'kañval' is zindagī meñ ġham ke māroñ ko na chain aayā
Top Urdushayar.com