kanval Dibaivi

nazar ka mil ke Takrana na tum bhule na hum bhule

kanval Dibaivi

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1919-1994
nazar kā mil ke Takrānā na tum bhūle na ham bhūle
mohabbat kā vo afsāna na tum bhūle na ham bhūle
satāyā thā hameñ kitnā zamāne ke taġhayyur ne
zamāne kā badal jaanā na tum bhūle na ham bhūle
bharī barsāt meñ paiham judā.ī ke tasavvur se
vo mil kar ashk barsānā na tum bhūle na ham bhūle
bahāreñ gulsitāñ kī raas jab ham ko na aa.ī thiiñ
ḳhizāñ se dil kā bahlānā na tum bhūle na ham bhūle
guzārīñ kitnī rāteñ gin ke taare dard-e-furqat meñ
judā.ī kā vo afsāna na tum bhūle na ham bhūle
fareb-e-ārzū khānā hī fitrat hai mohabbat kī
fareb-e-ārzū khānā na tum bhūle na ham bhūle
hañsī meñ kaTtī thiiñ rāteñ ḳhushī meñ din guzartā thā
'kañval' maazī kā afsāna na tum bhūle na ham bhūle
Top Urdushayar.com