kanval Dibaivi

kuchh bujhi bujhi si hai anjuman na jaane kyun

kanval Dibaivi

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1919-1994

kuchh bujhī bujhī hai anjuman na jaane kyuuñ

zindagī meñ pinhāñ hai ik chubhan na jaane kyuuñ

aur bhī bahut se haiñ lūTne ko duniyā meñ

ban ga.e haiñ rahbar raah zan na jaane kyuuñ

un fikr-e-ālā par log sar ko dhunte the

aaj vo pareshāñ haiñ ahl-e-fan na jaane kyuuñ

jis chaman meñ sadiyoñ se thā bahār qabza

us meñ hai ḳhizāoñ ab chalan na jaane kyuuñ

jin guloñ se kāñTe ḳhud duur bach ke rahte the

chaak chaak haiñ un ke pairahan na jaane kyuuñ

ġhair kuchh to karte haiñ paas aur lihāz apnā

aur dost hote haiñ ḳhanda-zan na jaane kyuuñ

ġhunche ġhunche ke tevar gulsitāñ meñ badle haiñ

ham chaman meñ rah kar haiñ be-chaman na jaane kyuuñ

jin ko apnā samjhe the karte haiñ 'kañval' ham se

dostī ke parde meñ makr o fan na jaane kyuuñ

Top Urdushayar.com