na ghuum dasht meñ tū sehn-e-gulsitāñ se guzar
jo chāhtā hai bulandī to kahkashāñ se guzar
zamīñ ko chhoḌ ke nādāñ na āsmāñ se guzar
zarūrat is kī hai to un ke āstāñ se guzar
isī se terī ibādat pe rañg aa.egā
jabīñ jhukānā huā un ke āstāñ se guzar
hai asliyat hai ḳhizāñ hī bahār kī tamhīd
bahār chāhe to andesha-e-ḳhizāñ se guzar
vafā kī raah meñ daar o salīb aate haiñ
zarūrat is kī hai har ek imtihāñ se guzar
'kañval' ḳhushī kī huā kartī hai yūñhī takmīl
ġham-e-hayāt ke har bahr-e-be-karāñ se guzar