Ram Daas

mujhe mili hai agar infiradiyat ki sanad

Ram Daas

mujhe milī hai agar infirādiyat kī sanad
bachā ke laayā huuñ apnī salāhiyat kī sanad
bhulā diye haiñ alif-lailvī sabhī qisse
ġhazal ne jab se mujhe dī jadīdiyat kī sanad
pareshāñ-hāl hai har shaḳhs is zamāne meñ
milī hai kis ko yahāñ ḳhair-o-āfiyat kī sanad
thā apne shahr meñ muddat se ajnabī kī tarah
janāb mujh ko milī aaj shahriyat kī sanad
tum ek ahl-e-suḳhan ho adab ke taare ho
tum apne ahd se lo apnī ahmiyat kī sanad
ḳhudā kā shukr hai a 'rām' is zamāne meñ
maiñ zinda huuñ hai yahī merī ḳhairiyat kī sanad
Top Urdushayar.com