aaj merī palkoñ par qudsiyoñ kā mela hai
ishq terī mahfil meñ dil kahāñ akelā hai
hūreñ terī yādoñ kī jannateñ sajātī haiñ
un se aaj ye kah do zindagī jhamelā hai
ā.īna sañvartā hai un ke dekhe jaane se
rañg-o-nūr kahtā hai raushnī kā relā hai
dard dil ko bhāte haiñ jaane kyuuñ lubhāte haiñ
aañkh ke sitāroñ kā sajtā roz mela hai
zindagī kī rāhoñ meñ zindagī nahīñ miltī
roz-o-shab ke mele meñ jaane kyā jhamelā hai
ishq kī tamannā thī ishq kī tamannā hai
ishq hī kī rāhoñ meñ mastiyoñ kā mela hai
ḳhud-shanās kyā hogā dil agar use DhūñDe
vasl kī tamannā meñ kis qadar jhamelā hai