hijr kā din hai ye guzarne de
ai ġham-e-yār shaam Dhalne de
umr thoḌī hai pyaas sadiyoñ kī
shabnamī rut sakūñ se marne de
us ne māñgā hai mujh se ik tohfa
ab to jaañ hī ye nazr karne de
ho jo mumkin to abr barsā de
hiddat-e-ġham meñ varna jalne de
jazba-e-shauq lo bhī degā use
paikar-e-sabr meñ to Dhalne de
koī lamha to ho saḳhī aisā
kāsa-e-dīd ko jo bharne de
phir uvais-ul-hasan maiñ ye chāhūñ
zindagī baam se utarne de