kyuuñ mujh se gurezāñ hai maiñ terā muqaddar huuñ
ai umr-e-ravāñ ḳhush huuñ maiñ tujh ko mayassar huuñ
maiñ aap bahār apnī maiñ apnā hī manzar huuñ
ḳhud apne hī ḳhvāboñ kī ḳhushbū se mo.attar huuñ
be-rañg na vāpas kar ik sañg hī de sar ko
kab se tirā tālib huuñ kab se tire dar par huuñ
jab jaisī zarūrat ho ban jaatā huuñ vaisā hī
ḳhud apnī tabī.at meñ shīsha huuñ na patthar huuñ
lamhoñ ke tasalsul meñ marzī hai mirī shāmil
maiñ vaqt kī shah-e-rag par rakkhā huā ḳhanjar huuñ
āsūda huuñ maiñ apne vīrāna-e-hastī meñ
duniyā tujhe milne ke imkān se bāhar huuñ
jab chāhūñ simaT kar maiñ zarre meñ samā jā.ūñ
vus.at meñ to vaise hī sahrā huuñ samundar huuñ