duur sahrā kī kaḌī dhuup meñ chhāñv jaisā
vo to lagtā thā mujhe merī duāoñ jaisā
ik riyāsat thī mire paas navāboñ jaisī
ab tire shahr meñ phirtā huuñ gadāoñ jaisā
ab use DhūñDhtā phirtā huuñ bayābānoñ meñ
jo mire paas se guzrā thā havāoñ jaisā
tū na thā paas to rūThī thiiñ bahāreñ mujh se
jaise mausam ho mire saath ḳhizāoñ jaisā
ruḳh-e-raushan se nikaltī thiiñ shuā.eñ 'ovais'
us kī zulfoñ meñ nazāra thā ghaTāoñ jaisā