palkoñ pe saj rahe haiñ jo motī na roliye
jauhar haiñ ġham ke ġham ke tarāzū meñ toliye
shām-e-ġham-e-firāq ke pahlū meñ baiTh kar
aa.ī kisī kī yaad to chupke se ro liye
mūñdī ga.iiñ jo āñkheñ to aa.e vo dekhne
aa kar bhī kah na paa.e ki āñkheñ to kholiye
dekhā jo qadr ġham kī nahīñ hai jahān meñ
le kar vo biij dil meñ mohabbat se bo liye
jaage hue the ham jo tamannā ke baab meñ
sub.h-e-murād pā ke achānak hī so liye
likkhā huā thā kal bhī vafā ke mazār par
aa.e ho dar pe dil ke to haule se kholiye
dekhā jo dil ko chup to vafāoñ ne ye kahā
itnī tavīl shab hai are kuchh to boliye