Gulam Rasool Tariq

aap hi naKHuda raha hun main

Gulam Rasool Tariq

aap hī nāḳhudā rahā huuñ maiñ
aap hī Dūbtā rahā huuñ maiñ
ishq se āshnā rahā huuñ maiñ
husn kā mudda.ā rahā huuñ maiñ
kahīñ terā bharam na khul jaa.e
ḳhud ko ḳhud se chhupā rahā huuñ maiñ
raunaq-e-do-jahāñ mujhī se haiñ
aa rahā huuñ maiñ jā rahā huuñ maiñ
jaise koī bhī haq na ho mujh ko
yuuñ tujhe dekhtā rahā huuñ maiñ
ai junūñ ab to rahbarī farmā
harf-e-matlab pe aa rahā huuñ maiñ
mere zimme hai kis qadar mushkil
jāgte ko jagā rahā huuñ maiñ
ai ḳhudā tujh se kuchh na maañg sakūñ
ye duā māñgtā rahā huuñ maiñ
gumrahī kā mujhe na de ilzām
tujh ko pahchāntā rahā huuñ maiñ
ye zamāna bhī dekhnā thā mujhe
tujh se āñkheñ churā rahā huuñ maiñ
zarf merā buland hai 'tāriq'
jaan kar hārtā rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com