tum kabhī mā.il-e-karam na hue
merī qismat ke duur ġham na hue
ashk-rezī se ham hue be-dam
tere dāman ke taar nam na hue
ham ne taur-e-vafā nahīñ badlā
tere zulm-o-sitam bhī kam na hue
thak ga.e raah kī sa.ūbat se
mere sāthī mire qadam na hue
rāste meñ jo thak ke baiTh ga.e
zindagī-bhar vo tāza-dam na hue
multafit vo rahe zamāne par
morid-e-lutf ek ham na hue
jin kī ḳhātir 'hazīñ' uThā.e ġham
vo bhī apne sharīk-e-ġham na hue