Farooq Engineer

ab ehtiram hi kahiye use ki Dar ke gae

Farooq Engineer

Shekhawati, Rajasthan, India

1960
ab ehtirām hī kahiye use ki Dar ke ga.e
tire dayār meñ saare savār utar ke ga.e
hai barg-o-bār kā girnā to qarz mausam kā
havā-e-tund parinde kahāñ shajar ke ga.e
ho shahr shahr ḳhamoshī kā kuchh sabab shāyad
magar vo shor-o-shaġhab bhī to bahr-o-bar ke ga.e
mirī hī jaan ke dushman haiñ shāhkār mire
mire ḳhilāf karishme mire hunar ke ga.e
har ik savāl kā dete haiñ saaf saaf javāb
vo kyā ga.e ki bahāne agar magar ke ga.e
kisī ke haath meñ patthar kahāñ vo sahn meñ peḌ
hamāre ahd se mausam shajar hajar ke ga.e
hameñ bhī kūcha-e-qātil kā thā chalan ma.alūm
isī liye to galī meñ tirī sañvar ke ga.e
to apne chāk-e-garebāñ kā aa gayā hai ḳhayāl
tamāshā dekhne jab log idhar-udhar ke ga.e
na ishq hai vo na ġhālib na āstāñ na vafā
usī ke saath hī qisse bhī sañg-o-sar ke ga.e
safar meñ der talak ham-safar thā ghar fārūq
nazar meñ duur talak aks bām-o-dar ke ga.e
Top Urdushayar.com