Aslam Mahmood

pattharon par wadiyon mein naqsh-e-pa mera bhi hai

Aslam Mahmood

pattharoñ par vādiyoñ meñ naqsh-e-pā merā bhī hai
rāstoñ se manziloñ tak silsila merā bhī hai
paañv us ke bhī nahīñ uThte mire ghar kī taraf
aur ab ke rāsta badlā huā merā bhī hai
habs ke aalam meñ bhī zinda huuñ terī aas par
ai havā-e-tāza darvāza khulā merā bhī hai
bādaloñ se ai zamīñ tū hī nahīñ hai nā-umīd
rā.egāñ sā ab ke kuchh harf-e-duā merā bhī hai
be-basārat shahr meñ be-chehragī ke darmiyāñ
ik diyā jaltā huā ik ā.īna merā bhī hai
dekhtā huuñ maiñ bhī sab ke saath duniyā ko magar
ik alag zauq-e-nazar ik zāviya merā bhī hai
tīrgī meñ aaj agar maiñ huuñ to ho saktā hai kal
dastaras meñ chāñd ho āḳhir ḳhudā merā bhī hai
Top Urdushayar.com