Hans Raj Sachdev 'hazii.n'

na wo walwale hain dil mein na wo aalam-e-jawani

Hans Raj Sachdev 'hazii.n'

1913
na vo valvale haiñ dil meñ na vo ālam-e-javānī
koī le gayā hai mujh se mirā daur-e-shādmānī
vo bhalā chuke haiñ mujh ko maiñ bhulā chukā huuñ un ko
kabhī pā sakī na unvāñ mire pyaar kī kahānī
shab-e-hijr kī taḌap ne vo mazā diyā hai mujh ko
ki duā.eñ māñgtā huuñ ye taḌap ho jāvedānī
tire kaan sun chuke haiñ na.e giit bul-havas ke
mujhe yaad hai vafā kī vahī dāstāñ purānī
tujhe kho diyā hai pā kar ye mirī hai bad-nasībī
kabhī tum batā to dete mujhe vaj.h-e-bad-gumānī
tirī mehrbāniyoñ kī kabhī aarzū thī dil meñ
vo maqām aa gayā hai ki garāñ hai mehrbānī
tire pyaar meñ 'hazīñ' ko jo milā hai dāġh-e-furqat
mire paas ab vahī hai tire pyaar kī nishānī
Top Urdushayar.com