Hans Raj Sachdev 'hazii.n'

kashan kashan liye jata hai ku-e-yar mujhe

Hans Raj Sachdev 'hazii.n'

1913
kashāñ kashāñ liye jaatā hai kū-e-yār mujhe
maiñ kyā karūñ nahīñ dil par jo iḳhtiyār mujhe
kisī kī madh-bharī āñkhoñ se kyā milī āñkheñ
samajh rahe haiñ mire dost bāda-ḳhvār mujhe
mujhe ḳhabar hai ki ab tujh ko pā nahīñ saktā
to yaad kyuuñ tirī aatī hai baar baar mujhe
tire ḳhayāl meñ ḳhud ko bhulā diyā itnā
na mil sakegī kabhī terī rahguzār mujhe
ajal se pūchh lo aane meñ der kyuuñ kar dī
ki nāgavār hai is vaqt intizār mujhe
na aa.e the to tamannā thī kyuuñ nahīñ aa.e
vo aa.e chhoḌ ga.e kar ke be-qarār mujhe
'hazīñ' tamannā hai ab mujh ko jī se jaane kī
ki jīte-jī to kisī kā milā na pyaar mujhe
Top Urdushayar.com