muskurā doge to ye raat sañvar jā.egī
hañs jo doge to fazā aur nikhar jā.egī
apnī manzil pe pahuñch jā.egī betāb nazar
apne markaz pe na pahuñchī to kidhar jā.egī
kaash us husn-e-ḳhud-ārā se koī jā ke kahe
zulf ko laakh sañvāre ye bikhar jā.egī
muntazir shaam se un kā huuñ magar jāntā huuñ
aaj kī raat bhī āñkhoñ meñ guzar jā.egī
aap bhī zulf-e-pareshāñ ko haTā leñ ruḳh se
mere chhūne se to nāgin ye biphar jā.egī
hāl-e-dil kyuuñ na 'hazīñ' aaj guloñ se kah duuñ
nik.hat-e-gul bhī mire dost ke ghar jā.egī