Hans Raj Sachdev 'hazii.n'

munh-zor hain maghrur hain pur-kar nahin hain

Hans Raj Sachdev 'hazii.n'

1913
muñh-zor haiñ maġhrūr haiñ pur-kār nahīñ haiñ
ham log abhī sāhab-e-kirdār nahīñ haiñ
jab aap hī ulfat meñ vafādār nahīñ haiñ
phir ham se gilā kyuuñ ki talabgār nahīñ haiñ
ham sāqi-e-mah-vash haiñ gunahgār-e-aqīdat
ham pīne-pilāne ke gunahgār nahīñ haiñ
be-mahrī-o-be-gāñgī-o-jor-o-taġhāful
ham aisī mohabbat ke parastār nahīñ haiñ
kyā ahl-e-chaman-zār ke ajsām meñ hai jaan
kyā ahl-e-chaman jaan se bezār nahīñ haiñ
muḳhtār bhī mālik bhī haiñ ġhairoñ ke liye aap
apnoñ ke liye mālik-o-muḳhtār nahīñ haiñ
mat pūchhiye maiḳhāne kā dastūr 'hazīñ' se
zī-hosh hī maiḳhāne meñ hoshiyār nahīñ haiñ
Top Urdushayar.com