Hans Raj Sachdev 'hazii.n'

KHushi gar hai to kya matam nahin hai

Hans Raj Sachdev 'hazii.n'

1913
ḳhushī gar hai to kyā mātam nahīñ hai
shagufta gul pe kyā shabnam nahīñ hai
kiyā hai yaad us ne aaj shāyad
mizāj-e-zindagī barham nahīñ hai
kise apnā kaheñ duniyā meñ yārab
koī monis koī hamdam nahīñ hai
tire jalvoñ kī jur.at kaise hogī
mirī āñkhoñ meñ itnā dam nahīñ hai
nazar un kī paḌī hai jab se mujh par
mirī qismat meñ koī ġham nahīñ hai
ḳhushī ke aañkh meñ bhar aa.e aañsū
vagarna chashm merī nam nahīñ hai
mujhe le chal 'hazīñ' us anjuman meñ
jahāñ mahram hai nā-mahram nahīñ hai
Top Urdushayar.com