dil pyaar ke rishtoñ se mukar bhī nahīñ jaatā
shākī hai magar chhoḌ ke dar bhī nahīñ jaatā
ham kis se kareñ sho.alagī-e-mehr kā shikva
ai abr-e-gurezāñ to Thahar bhī nahīñ jaatā
is shahr-e-anā meñ jo fasādāt na chhiḌte
to pyaar kā ye shauq-e-safar bhī nahīñ jaatā
vo fahm-o-farāsat kā diyā haath meñ le kar
is daur-e-tashaddud se guzar bhī nahīñ jaatā
is ek kī rassī ko agar thaam ke rahte
phir apnī duāoñ kā asar bhī nahīñ jaatā
ye ziist ke lamhe haiñ 'valī' qīmtī hiire
kyuuñ koī baḌā kaam tū kar bhī nahīñ jaatā