Vali Madni

hawa-e-shoKH ki aaKHir fusun kari ye kaisi hai

Vali Madni

havā-e-shoḳh kī āḳhir fusūñ kaarī ye kaisī hai
aziyyat de ke Tal jaatī hai dildārī ye kaisī hai
baraste haiñ musalsal apne sar āfāt ke patthar
batā ai dil balāoñ kī ḳharīdārī ye kaisī hai
ugī haiñ dhuup kī fasleñ kahīñ saaya nahīñ miltā
shajar-kārī kā da.avā thā shajar-kārī ye kaisī hai
khaḌī hai apne dāman ko pasāre ġhair ke aage
mire maulā pareshāñ aaj ḳhud-dārī ye kaisī hai
kahīñ ḳhushiyoñ kī kaliyāñ haiñ kahīñ ashkoñ ke buuTe haiñ
hayāt-o-maut ke mābain gul-kārī ye kaisī hai
darīchoñ se shuā.eñ jhāñktī haiñ muskurātī haiñ
ḳhabar to lo pas-e-dīvār bedārī ye kaisī hai
laraztī hai faqat ik lafz kī halkī sī Thokar se
'valī' dal ke makāñ kī chār-dīvārī ye kaisī hai
Top Urdushayar.com