aks jal jā.eñge ā.īne bikhar jā.eñge
ḳhvāb in jāgtī āñkhoñ meñ hī mar jā.eñge
ham ki dil-dāda kahāñ raunaq-e-bāzār ke haiñ
be-niyāzāna hī duniyā se guzar jā.eñge
jin ko dastār kī ḳhvāhish hai unheñ kyā ma.alūm
ma.arka ab ke vo Thahrā hai ki sar jā.eñge
koī manzil nahīñ raste haiñ faqat chāroñ taraf
jo nikal aa.e haiñ ghar se vo kidhar jā.eñge
dekh aa kar ki tire hijr meñ bhī zinda haiñ
tujh se bichhḌe the to lagtā thā ki mar jā.eñge
ham ki sharminda-e-asbāb nahīñ hone ke
hukm jab hogā to be-raḳht-e-safar jā.eñge
ham se dariyā jo gurezāñ hai to ham bhī ik din
kisī tapte hue sahrā meñ utar jā.eñge
ham ko dariyā se na maujoñ se na kashtī se ġharaz
ab ke us paar hameñ le ke bhañvar jā.eñge