siine ke daaġh un ko dikhā.e na jā sake
mujh se fasāne ġham ke sunā.e na jā sake
aise nagar meñ merā muqaddar huā muqīm
jis meñ ḳhushī ke diip jalā.e na jā sake
aivān-e-sabr aaj zamīñ-bos ho gayā
palkoñ meñ ashk mujh se chhupā.e na jā sake
ham ne to ḳhūn-e-dil se khilā.e haiñ gulistāñ
tum se to ḳhār-o-ḳhas bhī ugaa.e na jā sake
gulshan jo thā ḳhulūs kā yaksar jhulas gayā
jab nafratoñ ke sho.ale bujhā.e na jā sake
bār-e-garāñ uThātā rahā huuñ magar 'valī'
ehsāñ kisī ke mujh se uThā.e na jā sake