Erum  Zehra

kaise banaun hath par taswir KHwab ki

Erum Zehra

Karachi, Sindh, Pakistan

1982
kaise banā.ūñ haath par tasvīr ḳhvāb kī
mujh ko milī na aaj tak ta.abīr ḳhvāb kī
āñkhoñ se niiñd ruuTh ke jaane kidhar ga.ī
kaTtī nahīñ hai rāt-bhar zanjīr ḳhvāb kī
jis shahr meñ ho ḳhvāb churāne kī vārdāt
kaise karūñ vahāñ pe maiñ tash.hīr ḳhvāb kī
ḳhvāboñ ne har qadam pe mujhe hausla diyā
dekhī nahīñ hai tum ne kyā tāsīr ḳhvāb kī
kab tak rahegī tīrgī tere ḳhayāl meñ
raushan karegī us ko bhī tanvīr ḳhvāb kī
us din to mere ḳhvāboñ ko pahchān jāoge
jis din likhegā koī bhī tafsīr ḳhvāb kī
ḳhvāboñ ko hī 'iram' ne asāsa banā liyā
rahne do mere paas ye jāgīr ḳhvāb kī
Top Urdushayar.com