maiñ apnī vafāoñ kā bharam le ke chalī huuñ
hāthoñ meñ mohabbat kā alam le ke chalī huuñ
chalne hī nahīñ detī thī ik va.ade kī zanjīr
mushkil thā magar bār-e-sitam le ke chalī huuñ
kyā pūchhte ho mujh se mire zād-e-safar kā
asbāb meñ bas yād-e-sanam le ke chalī huuñ
jis shahr ke har moḌ pe kāñTe hī bichhe haiñ
is shahr meñ bhī zaḳhmī qadam le ke chalī huuñ
koī bhī safar maiñ ne adhūrā nahīñ chhoḌā
chalnā hai to manzil kī qasam le ke chalī huuñ
mujh ko hai yaqīñ harf kī hurmat pe hamesha
tanhā thī magar apnā qalam le ke chalī huuñ
ḳhush-baḳht hai vo jis ke muqaddar meñ 'iram' hai
maiñ saath meñ ik bāġh-e-iram le ke chalī huuñ