Aslam Mahmood

dekh ke arzan lahu surKHi-e-manzar KHamosh

Aslam Mahmood

dekh ke arzāñ lahū surḳhī-e-manzar ḳhamosh
bāzī-e-jāñ par mirī teġh bhī shashdar ḳhamosh
aks mirā muntashir aur ye aalam ki hai
ek ik ā.īna chup ek ik patthar ḳhamosh
teġh-e-nafas ko bahut naaz thā raftār par
ho ga.ī āḳhir mire ḳhuuñ meñ nahā kar ḳhamosh
arsa-e-hairat meñ gum ā.ina-ḳhāne mire
ḳhema-e-mizhgāñ meñ haiñ ḳhvāb ke paikar ḳhamosh
ḳhauf se sab dam-ba-ḳhud fikr se chehre udaas
mauj-e-havā kyuuñ hai chup kyuuñ hai samundar ḳhamosh
koī alāmat to ho koī nishāñ to mile
kyuuñ hai lahū be-sadā ho ga.e kyuuñ sar ḳhamosh
Top Urdushayar.com