Erum  Zehra

mera qissa bhi aaega wafa ki dastanon mein

Erum Zehra

Karachi, Sindh, Pakistan

1982
mirā qissa bhī aa.egā vafā kī dāstānoñ meñ
mujhe mat DhūñDte rahnā jafā kī dāstānoñ meñ
maiñ bint-e-havvā ik din meñ badal dūñgī zamāne ko
mujhe mat qaid kar nāz-o-adā kī dāstānoñ meñ
nazar-andāz mujh ko kar nahīñ saktī kabhī duniyā
mujhe likkhā gayā zehn-e-rasā kī dāstānoñ meñ
mirā dil toḌne vaale kabhī sochā hai ye tū ne
tirā hī naam aa.egā sazā kī dāstānoñ meñ
zarā pūchho havāoñ se ki ye kaise mo.attar haiñ
mujhe pāoge tum bād-e-sabā kī dāstānoñ meñ
mire shānoñ pe lahrāte hue bāloñ ko mat chheḌo
mirī zulfeñ bhī shāmil haiñ ghaTā kī dāstānoñ meñ
khulā rakkhā 'iram' ne dil kā darvāza tirī ḳhātir
mirā hī tazkira hogā vafā kī dāstānoñ meñ
Top Urdushayar.com