Erum  Zehra

hum uske samne husn-o-jamal kya rakhte

Erum Zehra

Karachi, Sindh, Pakistan

1982
ham us ke sāmne husn-o-jamāl kyā rakhte
jo be-misāl hai us kī misāl kyā rakhte
jo bevafā.ī ko apnā hunar samajhtā hai
ham us ke aage vafā kā savāl kyā rakhte
hamārā dil kisī jāgīr se nahīñ arzāñ
ham us ke sāmne māl-o-manāl kyā rakhte
use to rishte nibhāne kī aarzū hī nahīñ
phir us kī ek nishānī sambhāl kyā rakhte
jo dil pe choT lagāne meñ ḳhuub māhir hai
ham us ke sāmne apnā kamāl kyā rakhte
hamāre zarf kā logoñ ne imtihān liyā
zarā sī baat kā dil meñ malāl kyā rakhte
jo apne dil se 'iram' ko nikāl baiThā hai
ham us ke sāmne hijr-o-visāl kyā rakhte
Top Urdushayar.com