tirī Dagar ko maiñ apnī nazar meñ rakhtī huuñ
hazār phuul tirī rāhguzar meñ rakhtī huuñ
maiñ terī yaad ko āñchal meñ bāñdh laa.ī huuñ
tire ḳhayāl ko zād-e-safar meñ rakhtī huuñ
tū ek pal bhī judā mujh se ho nahīñ saktā
maiñ terī yaad ko shām-o-sahar meñ rakhtī huuñ
mirī vafāoñ kī garmī se tū bhī pighlegā
ik aisā sho.ala maiñ apne jigar meñ rakhtī huuñ
mujhe Darā.egā kaise ye pāniyoñ kā mizāj
maiñ apnī kashtī hamesha bhañvar meñ rakhtī huuñ
talāsh karte ho tum mujh ko chāñd ke andar
maiñ apne chehre kā partav qamar meñ rakhtī huuñ
'iram' ne sheroñ se sab ko asiir aise kiyā
ki jaise jaadū maiñ apne hunar meñ rakhtī huuñ