maiñ ka.ī barsoñ se terī justujū kartī rahī
is safar meñ ārzūoñ kā lahū kartī rahī
kyā ḳhabar tujh ko guzārī kaise maiñ ne shām-e-ġham
āñsuoñ kā paanī le kar maiñ vuzū kartī rahī
jab tirī yādoñ ne mujh ko niim pāgal kar diyā
maiñ tirī tasvīr se hī guftugū kartī rahī
kis tarah apnī tamannāoñ kā maiñ kartī shumār
bas tujhe paane kī har-dam aarzū kartī rahī
dil ke darvāze pe jab bhī yaad kī dastak huī
maiñ tasavvur meñ jigar apnā rafū kartī rahī
dil kī dhaḌkan kah rahī hai tū achānak aa.egā
ḳhud ko din-bhar ā.īne ke rū-ba-rū kartī rahī
sochnā bhī mat kabhī tujh ko bhulā degī 'iram'
vasl kī ḳhvāhish har ik lamha numū kartī rahī