zehn-e-rasā ko auj-e-falak tak uḌaan de
jo dil meñ jāguzīñ ho vo tarz-e-bayān de
harf-e-suḳhan de aisā ki durr-e-yatīm ho
de tamkanat zabān meñ lahje meñ shaan de
arz-o-samā kī vus.ateñ ab mujh pe tañg haiñ
mujh ko na.ī zamīn nayā āsmān de
tūfān abr-o-bād meñ sab haiñ ghire hue
kashtī ko de to kis kī ḳhabar bādbān de
dar pe haiñ tere ḳhuun ke ye tājirān-e-zar
mat yuuñ kisī ke vāste tū apnī jaan de
maazī kī sā.atoñ ko bulātā huuñ is tarah
jaise koī ujaaḌ gharoñ meñ azaan de
ye jism ye bhabhūkā qabā tār-tār sī
'iqbāl' apne haal pe thoḌā to dhyān de