ḳhvāb-o-ḳhayāl ho ga.e yārāne kis tarah
pal-bhar meñ log ban ga.e anjāne kis tarah
kyuuñ kar ḳhulūs-o-shauq meñ badleñgī nafrateñ
ye fāsle miTeñge ḳhudā-jāne kis tarah
bolo zabāñ se tum na koī guftugū karo
dil kā tumhāre haal koī jaane kis tarah
maiñ kiyā ki ek chehra huuñ jamm-e-ġhafīr meñ
vo mujh ko is hujūm meñ pahchāne kis tarah
majnūñ to ek naam thā gard-o-ġhubār kā
dil meñ basā liyā use lailā ne kis tarah
ḳhud apne hī vajūd se vahshat-zada haiñ log
ābādiyoñ meñ aa ga.e vīrāne kis tarah
iqbāl tum ne jo bhī kahā sach kahā magar
sach baat bhī tumhārī koī maane kis tarah