bujh ga.e manzar ufuq par har nishāñ maddham huā
lamha lamha saarā rañg-e-āsmāñ maddham huā
thak ga.e ham-rāh mere jāgne vaale sabhī
āḳhir-e-shab mujh meñ bhī ik shor-e-fuġhāñ maddham huā
mahv ho jā.ūñgā maiñ bhī ek din har zehn se
ā.inoñ meñ jaise aks-e-raftagāñ maddham huā
raat Dhalte Dhalte aa.ī sub.h kī dahlīz tak
dil ne lai tabdīl kar dī sāz-e-jāñ maddham huā
hāsil o darkār kī har fikr zaa.il ho ga.ī
ik nazar uTThī har ik rañg-e-ziyāñ maddham huā
ab kahāñ vo sahrā-zād o pāsdarān-e-junūñ
sahrā sahrā vahshatoñ kā har nishāñ maddham huā
harf-e-dil-dārī nahīñ rasm-e-dil-āzārī nahīñ
lahja-e-har-mehrbāñ nā-mehrbāñ maddham huā
ik charāġh ik aa.ina merī matā-e-be-bahā
rah gayā harf-e-yaqīñ naqsh-e-gumāñ maddham huā
har nishān-e-bām-dar jab miT gayā 'aslam' to kyā
zor-e-tūfāñ tham gayā āb-e-ravāñ maddham huā