Iqbal Haidri

zauq-e-didar-e-tamasha-bar ruswai hua

Iqbal Haidri

zauq-e-dīdār-e-tamāshā-bār rusvā.ī huā
ḳhud tamāshā ban gayā jo bhī tamāshā.ī huā
qarya qarya DhūñDhtī hai rūh-e-lailā qais ko
najd ke sahrā meñ phir aisā na saudā.ī huā
jis lahū se dil meñ raushan dard kī mash.al rahī
vo lahū ik bevafā ke ruḳh kī zebā.ī huā
jaan kar ham kyā kareñge chhoḌ is qisse ko ab
kaun sachchā ishq meñ thā kaun harjā.ī huā
ḳhud-sarī meñ apne saa.e se jo lipTe rah ga.e
un ġhazāloñ kā muqaddar dasht-e-tanhā.ī huā
raushnī kī ik kiran bhī ab to qismat meñ nahīñ
chhin ga.iiñ āñkheñ to phir ehsās-e-bīnā.ī huā
jo zabāñ par lā na sakte the ayaañ sab par huā
fan hamārā bā.is-e-tazhīk-o-rusvā.ī huā
hai junūñ ke faiz se ye jumbish-e-pā varna kab
ḳhār-zāroñ se ilāj-e-ābla-pā.ī huā
kyā tavaqqo.a ab rakheñ 'iqbāl' is duniyā se ham
har qadam par bhaa.ī kā dushman jahāñ bhaa.ī huā
Top Urdushayar.com