ḳhanjar kī tarah utre hai jo baat karo ho
apnoñ pe ye tum kaisī ināyāt karo ho
jab barmalā kahne kī yahāñ rasm nahīñ hai
phir kis liye tum purshish-e-hālāt karo ho
yā kahte the tum khul ke kaho jo bhī hai dil meñ
yā kahte ho tum ham se shikāyāt karo ho
yā ham se ghaḌī-bhar kī judā.ī thī qayāmat
yā ham se ghaḌī-bhar bhī na ab baat karo ho
dekho kabhī us ko bhī jo hai chehroñ ke pīchhe
kahne ko to tum sab se mulāqāt karo ho
ham dil-zadagāñ ko bhī to aa kar kabhī pūchho
tum sab pe karam sab pe ināyāt karo ho
is kūcha se guzro ho na tum us se milo ho
is shahr meñ kaise guzar auqāt karo ho
tasbīh thī us naam kī har-vaqt yā ab tum
allāh kī din-rāt munājāt karo ho
hai tark-e-ta.alluq bhī to yak-gūna ta.alluq
kyuuñ us kī zamāna se shikāyāt karo ho
vo tum se ḳhafā hai to use jā ke manā lo
kyuuñ aur ḳharāb apne ye hālāt karo ho
'iqbāl' uTho kaam meñ ab jī ko lagāo
kis dhyān meñ barbād ye din-rāt karo ho