sharmaa Taseer

kaT kar jo rah ka buDha shajar le jaega

sharmaa Taseer

kaaT kar jo raah kā būḌhā shajar le jā.egā
saath apne dhuup kā lambā safar le jā.egā
ek sahrā be yaqīnī kā hai tā-hadd-e-nazar
qāfila-sālār dekheñ ab kidhar le jā.egā
apne apne hī gharoñ kī fikr gar karte rahe
dekhnā tūfān ye saarā nagar le jā.egā
be-gharoñ kī fikr karne kī zarūrat hī nahīñ
ek din koī farishta un ko ghar le jā.egā
kauḌiyoñ ke mol bik jā.egā ḳhud us kā vajūd
koī jab bāzār meñ apnā hunar le jā.egā
jis ke dil meñ koī ḳhvāhish koī armāñ hī nahīñ
saath apne be-bahā zād-e-safar le jā.egā
ye khulegā mujh pe āḳhir merī manzil hai kahāñ
jab junūñ 'tāsīr' mujh ko dar-ba-dar le jā.egā
Top Urdushayar.com