dostī meñ fāsle hote nahīñ
pyaar meñ ye tajziye hote nahīñ
kyā zarūrī hai ki vo mujrim bhī hoñ
jin ke haq meñ faisle hote nahīñ
soch kar tum ye ta.alluq toḌte
TuuT kar patte hare hote nahīñ
raushnī hotī nahīñ us bazm meñ
jis meñ shāmil-e-dil jale hote nahīñ
ma.arke sar hote haiñ jin ke tufail
un ke akasr tazkire hote nahīñ
apne to apne hī hote haiñ faqat
apnoñ meñ achchhe bure hote nahīñ
un kā Dar jaatā nahīñ tāsīr kyuuñ
haañ vahī jo hādse hote nahīñ