ġham-e-jānāñ meñ samo kar ġham-e-daurāñ ham ne
do fasānoñ ko diyā ek hī unvāñ ham ne
ġham se ghabrā ke jo kī koshish-e-darmāñ ham ne
aur bhī kāñToñ meñ uljhā liyā dāmāñ ham ne
dekheñ kyā hotā hai tajdīd-e-nasheman kā samāñ
muntaḳhab kī hai phir ik shāḳh-e-gulsitāñ ham ne
ġham se bachne ke liye vaz.a kiye the jo usuul
kar diye nāzukī-e-vaqt pe qurbāñ ham ne
aaj 'muḳhtār' asīr-e-ġham-e-daurāñ hai vo dil
jis ko samjhā thā harīf-e-ġham-e-daurāñ ham ne